jo mil jae ek ham-safar KHubsurat
jo mil jaa.e ik ham-safar ḳhūbsūrat
to ho jaa.e apnā safar ḳhūbsūrat
hai apnoñ meñ shām-o-sahar ḳhūbsūrat
jahāñ hai mohabbat vo ghar ḳhūbsūrat
hameñ ishq hai aap se aaj bhī to
hai chāhat kā kitnā asar ḳhūbsūrat
kamar-basta jo hai uḌānoñ pe apnī
unheñ hai parindoñ ke par ḳhūbsūrat
hai vo ḳhūbsūrat jo ġham-āshnā hai
ḳhudā kī nazar meñ bashar ḳhūbsūrat
vazīfa 'shubham' jin kā nām-e-vafā hai
hayāt un kī misl-e-qamar ḳhūbsūrat
jo mil jae ek ham-safar KHubsurat
to ho jae apna safar KHubsurat
hai apnon mein sham-o-sahar KHubsurat
jahan hai mohabbat wo ghar KHubsurat
hamein ishq hai aap se aaj bhi to
hai chahat ka kitna asar KHubsurat
kamar-basta jo hai uDanon pe apni
unhen hai parindon ke par KHubsurat
hai wo KHubsurat jo gham-ashna hai
KHuda ki nazar mein bashar KHubsurat
wazifa 'shubham' jin ka nam-e-wafa hai
hayat un ki misl-e-qamar KHubsurat
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.