jo misl-e-tir chala tha kaman sa KHam hai
jo misl-e-tir chala tha kaman sa KHam hai
Ghaus Mohammad Ghausi
MORE BYGhaus Mohammad Ghausi
jo misl-e-tīr chalā thā kamān sā ḳham hai
nigāh-e-dost meñ tāsīr-e-ism-e-āzam hai
ḳhushā ki vo haiñ mire rū-ba-rū ba-nafs-e-nafīs
zahe ki aaj mirī aarzū mujassam hai
muhīt-e-husn-e-karāñ-tā-karāñ nahīñ na sahī
bisāt-e-shīsha-e-dil jis qadar hai tāham hai
anā-pasand anā ke nashe meñ bhuul ga.e
ye shahd vo hai ki jis ke ḳhamīr meñ sam hai
havā se kartā hai bāteñ tirī mahak pā kar
tire ġhazāl-e-junūñ meñ balā kā dam-ḳham hai
ye rañg-o-nūr ye ḳhushbū ye kaif-sāmānī
harīm-e-nāz hai yā ālimoñ kā aalam hai
na jā tabassum-e-lab-hā-e-ḳhushk par ai dost
hañsī nahīñ ye taraqqī pasand mātam hai
to kyā charāġh-e-tamannā kā maiñ muhāfiz huuñ
jab un ko fikr nahīñ hai yahīñ kise ġham hai
mirā mizāj hai yāroñ pe vaar duuñ ḳhud ko
mirā vajūd bhī añgushtarī kā nīlam hai
dhuāñ dhuāñ nazar aatī hai bazm-e-fan 'ġhausī'
yahāñ charāġh ziyāda haiñ raushnī kam hai
jo misl-e-tir chala tha kaman sa KHam hai
nigah-e-dost mein tasir-e-ism-e-azam hai
KHusha ki wo hain mere ru-ba-ru ba-nafs-e-nafis
zahe ki aaj meri aarzu mujassam hai
muhit-e-husn-e-karan-ta-karan nahin na sahi
bisat-e-shisha-e-dil jis qadar hai taham hai
ana-pasand ana ke nashe mein bhul gae
ye shahd wo hai ki jis ke KHamir mein sam hai
hawa se karta hai baaten teri mahak pa kar
tere ghazal-e-junun mein bala ka dam-KHam hai
ye rang-o-nur ye KHushbu ye kaif-samani
harim-e-naz hai ya aalimon ka aalam hai
na ja tabassum-e-lab-ha-e-KHushk par ai dost
hansi nahin ye taraqqi pasand matam hai
to kya charagh-e-tamanna ka main muhafiz hun
jab un ko fikr nahin hai yahin kise gham hai
mera mizaj hai yaron pe war dun KHud ko
mera wajud bhi angushtari ka nilam hai
dhuan dhuan nazar aati hai bazm-e-fan 'ghausi'
yahan charagh ziyaada hain raushni kam hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.