jo miTa hai tere jamal par wo har ek gham se guzar gaya
jo miTa hai tere jamal par wo har ek gham se guzar gaya
Fana bulandshahri
MORE BYFana bulandshahri
jo miTā hai tere jamāl par vo har ek ġham se guzar gayā
huiiñ jis pe terī navāzisheñ vo bahār ban ke sañvar gayā
tirī mast aañkh ne ai sanam mujhe kyā nazar se pilā diyā
ki sharāb-ḳhāne ujaḌ ga.e jo nasha chaḌhā thā utar gayā
tirā 'ishq hai mirī zindagī tire husn pe maiñ nisār huuñ
tirā rang aañkh meñ bas gayā tirā nuur dil meñ utar gayā
ki ḳhirad kī fitnagarī vahī luTe hosh chhā ga.ī be-ḳhudī
vo nigāh-e-mast jahāñ uThī mirā jām-e-zindagī bhar gayā
dar-e-yār tū bhī 'ajīb hai hai 'ajīb terā ḳhayāl bhī
rahī ḳham jabīn-e-niyāz bhī mujhe be-niyāz bhī kar gayā
tire diid se ai sanam chaman ārzūoñ kā mahak uThā
tire husn kī jo havā chalī to junūñ kā rang nikhar gayā
mujhe sab ḳhabar hai mire sanam ki rah-e-'fanā' meñ hayāt hai
use mil ga.ī na.ī zindagī tire āstāñ pe jo mar gayā
jo miTa hai tere jamal par wo har ek gham se guzar gaya
huin jis pe teri nawazishen wo bahaar ban ke sanwar gaya
teri mast aankh ne ai sanam mujhe kya nazar se pila diya
ki sharab-KHane ujaD gae jo nasha chaDha tha utar gaya
tera 'ishq hai meri zindagi tere husn pe main nisar hun
tera rang aankh mein bas gaya tera nur dil mein utar gaya
ki KHirad ki fitnagari wahi luTe hosh chha gai be-KHudi
wo nigah-e-mast jahan uThi mera jam-e-zindagi bhar gaya
dar-e-yar tu bhi 'ajib hai hai 'ajib tera KHayal bhi
rahi KHam jabin-e-niyaz bhi mujhe be-niyaz bhi kar gaya
tere did se ai sanam chaman aarzuon ka mahak uTha
tere husn ki jo hawa chali to junun ka rang nikhar gaya
mujhe sab KHabar hai mere sanam ki rah-e-'fana' mein hayat hai
use mil gai nai zindagi tere aastan pe jo mar gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.