jo muddaa hai dilon ka yahan nahin milta
jo mudda.ā hai diloñ kā yahāñ nahīñ miltā
jahān-e-rāz hai rāz-e-jahāñ nahīñ miltā
jo kaifiyat hai ḳhamoshī meñ vo bayāñ meñ nahīñ
bayāñ karūñ bhī to lutf-e-bayāñ nahīñ miltā
junūñ kī raah meñ ye kaun sā maqām aayā
ki ab surāġh-e-zamān-o-makāñ nahīñ miltā
na ab zamīñ kī ḳhabar hai na āsmāñ kī ḳhabar
mire hī naqsh-e-qadam kā nishāñ nahīñ miltā
ḳhizāñ meñ ahl-e-nasheman ko thā bahār kā ġham
bahār aa.ī to ab āshiyāñ nahīñ miltā
har ek yuuñ to hai ādāb-e-ishq se vāqif
mire junūñ kā magar rāzdāñ nahīñ miltā
mohabbatoñ meñ kamī kyā huī ki siine meñ
vo be-qarār dil-e-bad-gumāñ nahīñ miltā
hanūz ḳhatm nahīñ justuju-e-māh-vishāñ
abhī to zer-e-qadam āsmāñ nahīñ miltā
fazā-e-lāla-o-gul sard hotī jaatī hai
'jamāl' sā koī sho.ala-bayāñ nahīñ miltā
jo muddaa hai dilon ka yahan nahin milta
jahan-e-raaz hai raaz-e-jahan nahin milta
jo kaifiyat hai KHamoshi mein wo bayan mein nahin
bayan karun bhi to lutf-e-bayan nahin milta
junun ki rah mein ye kaun sa maqam aaya
ki ab suragh-e-zaman-o-makan nahin milta
na ab zamin ki KHabar hai na aasman ki KHabar
mere hi naqsh-e-qadam ka nishan nahin milta
KHizan mein ahl-e-nasheman ko tha bahaar ka gham
bahaar aai to ab aashiyan nahin milta
har ek yun to hai aadab-e-ishq se waqif
mere junun ka magar raazdan nahin milta
mohabbaton mein kami kya hui ki sine mein
wo be-qarar dil-e-bad-guman nahin milta
hanuz KHatm nahin justuju-e-mah-wishan
abhi to zer-e-qadam aasman nahin milta
faza-e-lala-o-gul sard hoti jati hai
'jamal' sa koi shoala-bayan nahin milta
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.