jo mujhe bhula denge main unhen bhula dunga
jo mujhe bhulā deñge maiñ unheñ bhulā dūñgā
sab ġhurūr un kā maiñ ḳhaak meñ milā dūñgā
dekhtā huuñ sab shakleñ sun rahā huuñ sab bāteñ
sab hisāb un kā maiñ ek din chukā dūñgā
raushnī dikhā dūñgā in andher-nagroñ meñ
ik havā ziyāon kī chār-sū chalā dūñgā
be-misāl qariyoñ ke be-kanār bāġhoñ ke
apne ḳhvāb logoñ ke ḳhvāb meñ dikhā dūñgā
maiñ 'munīr' jā.ūñgā ek din use milne
us ke dar pe jā ke maiñ ek din sadā dūñgā
jo mujhe bhula denge main unhen bhula dunga
sab ghurur un ka main KHak mein mila dunga
dekhta hun sab shaklen sun raha hun sab baaten
sab hisab un ka main ek din chuka dunga
raushni dikha dunga in andher-nagron mein
ek hawa ziyaon ki chaar-su chala dunga
be-misal qariyon ke be-kanar baghon ke
apne KHwab logon ke KHwab mein dikha dunga
main 'munir' jaunga ek din use milne
us ke dar pe ja ke main ek din sada dunga
- Book : kulliyat-e-muniir niyaazii (Pg. 543)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.