jo mujhe marġhūb ho vo sogvārī chāhiye
mere soyam meñ tumheñ poshāk bhārī chāhiye
taaza ho bāġh-e-tamannā ābiyārī chāhiye
aaj to ai chashm-e-tar kuchh ashk-bārī chāhiye
jab bahār aa.e to kab parhez-gārī chāhiye
sāl-bhar meñ chaar din to bāda-ḳhvārī chāhiye
dil jigar se jab maiñ kahtā huuñ nahīñ aa.egā yaar
kahte haiñ kuchh der to aur intizārī chāhiye
hoñ havās-o-hosh agar baaqī to kyā lutf-e-junūñ
dil na qaabū meñ ho vo be-aḳhtyārī chāhiye
raas aa.e tum ko mulk-e-ishq kī āb-o-havā
āshiqo har-vaqt shaġhl-e-āh-o-zārī chāhiye
vasl kī shab hai vo pahlū meñ haiñ to sone na de
haañ mire dil ab ziyāda be-qarārī chāhiye
maut bekār aatī hai marnā hamārā hai muhāl
aap kī talvār kā ik zaḳhm kaarī chāhiye
rote rote mar ga.e haiñ jo firāq-e-yār meñ
un ko bahr-e-ġhusl mayyat āb-e-jārī chāhiye
sīkhī un se dilrubā.ī aa ga.ī fasl-e-shabāb
āj-kal dil kī taraf se hoshiyārī chāhiye
sar na uTThe terī chaukhaT se na kūche se qadam
tauq bhārī chāhiye zanjīr bhārī chāhiye
ho ziyāda raushnī aur der tak baaqī rahe
merī sham-e-rūh ko mahfil tumhārī chāhiye
aap ke lāo-ni.am ne turfa dikhlāyā tilism
nā-umīdī kahtī hai ummīd-vārī chāhiye
tere chehre ke muqābil ho agar to is tarah
āftāb-e-hashr ko ā.īna-dārī chāhiye
ye tumhārī jā nahīñ āñkhoñ ke vā se haiñ ye dar
dil meñ duuñ tum ko jagah ye parda-dārī chāhiye
baḳhsh detā hai 'rashīd' allāh itnī baat par
kar ke isyāñ aadmī ko sharmsārī chāhiye
jo mujhe marghub ho wo sogwari chahiye
mere soyam mein tumhein poshak bhaari chahiye
taza ho bagh-e-tamanna aabiyari chahiye
aaj to ai chashm-e-tar kuchh ashk-bari chahiye
jab bahaar aae to kab parhez-gari chahiye
sal-bhar mein chaar din to baada-KHwari chahiye
dil jigar se jab main kahta hun nahin aaega yar
kahte hain kuchh der to aur intizari chahiye
hon hawas-o-hosh agar baqi to kya lutf-e-junun
dil na qabu mein ho wo be-aKHtyari chahiye
ras aae tum ko mulk-e-ishq ki aab-o-hawa
aashiqo har-waqt shaghl-e-ah-o-zari chahiye
wasl ki shab hai wo pahlu mein hain to sone na de
han mere dil ab ziyaada be-qarari chahiye
maut bekar aati hai marna hamara hai muhaal
aap ki talwar ka ek zaKHm kari chahiye
rote rote mar gae hain jo firaq-e-yar mein
un ko bahr-e-ghusl mayyat aab-e-jari chahiye
sikhi un se dilrubai aa gai fasl-e-shabab
aaj-kal dil ki taraf se hoshiyari chahiye
sar na uTThe teri chaukhaT se na kuche se qadam
tauq bhaari chahiye zanjir bhaari chahiye
ho ziyaada raushni aur der tak baqi rahe
meri sham-e-ruh ko mahfil tumhaari chahiye
aap ke lao-niam ne turfa dikhlaya tilism
na-umidi kahti hai ummid-wari chahiye
tere chehre ke muqabil ho agar to is tarah
aaftab-e-hashr ko aaina-dari chahiye
ye tumhaari ja nahin aankhon ke wa se hain ye dar
dil mein dun tum ko jagah ye parda-dari chahiye
baKHsh deta hai 'rashid' allah itni baat par
kar ke isyan aadmi ko sharmsari chahiye
Source :
Book : Gulistan-e-Rasheed (Pg. ghazal-123 page-110)
Author : Piyare Sahab Rasheed
Edition : 1952
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.