jo musht-e-KHak ho us KHak-dan ki baat karo
jo musht-e-ḳhāk ho us ḳhāk-dāñ kī baat karo
zamīñ pe rah ke na tum āsmāñ kī baat karo
kasī kī tābish-e-ruḳhsār kā kaho qissa
kisī ke gesū-e-ambar-fishāñ kī baat karo
nahīñ huā jo tulūa āftāb to filhāl
qamar kā zikr karo kahkashāñ kī baat karo
rahegā mashġhala-e-yād-e-raftagāñ kab tak
guzar rahā hai jo us kārvāñ kī baat karo
yahī jahān hai hañgāma-zār-e-sūd-o-ziyāñ
yahīñ ke suud yahīñ ke ziyāñ kī baat karo
ab is chaman meñ na sayyād hai na hai gulchīñ
karo to ab sitam-e-bāġhbāñ kī baat karo
jo musht-e-KHak ho us KHak-dan ki baat karo
zamin pe rah ke na tum aasman ki baat karo
kasi ki tabish-e-ruKHsar ka kaho qissa
kisi ke gesu-e-ambar-fishan ki baat karo
nahin hua jo tulua aaftab to filhaal
qamar ka zikr karo kahkashan ki baat karo
rahega mashghala-e-yaad-e-raftagan kab tak
guzar raha hai jo us karwan ki baat karo
yahi jahan hai hangama-zar-e-sud-o-ziyan
yahin ke sud yahin ke ziyan ki baat karo
ab is chaman mein na sayyaad hai na hai gulchin
karo to ab sitam-e-baghban ki baat karo
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.