jo na gulshan na gulabon se nikal kar aae
jo na gulshan na gulāboñ se nikal kar aa.e
vo to ḳhushbū hai jo ḳhvāboñ se nikal kar aa.e
itnī rangīñ to nahīñ hotī qabā kyā hogā
gar mirā chāñd sahāboñ se nikal kar aa.e
ġham ke taare bhī bujhe jaate haiñ us se kah do
sūrat-e-sub.h hijāboñ se nikal kar aa.e
zindagī ab to tirā shahr-e-haqā.eq ye kahe
koī sahrā na sarāboñ se nikal kar aa.e
kabhī vo bhī to sanā-ḳhvāñ ho ki jis kī ḳhātir
itne ḳhūñrez azāboñ se nikal kar aa.e
jab koī lafz tire pyaar ke qābil na milā
koī ma.anī na kitāboñ se nikal kar aa.e
jo na gulshan na gulabon se nikal kar aae
wo to KHushbu hai jo KHwabon se nikal kar aae
itni rangin to nahin hoti qaba kya hoga
gar mera chand sahabon se nikal kar aae
gham ke tare bhi bujhe jate hain us se kah do
surat-e-subh hijabon se nikal kar aae
zindagi ab to tera shahr-e-haqaeq ye kahe
koi sahra na sarabon se nikal kar aae
kabhi wo bhi to sana-KHwan ho ki jis ki KHatir
itne KHunrez azabon se nikal kar aae
jab koi lafz tere pyar ke qabil na mila
koi mani na kitabon se nikal kar aae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.