jo na naqd-e-dagh-e-dil ki kare shola pasbani
jo na naqd-e-dāġh-e-dil kī kare shola pāsbānī
to fasurdagī nihāñ hai ba-kamīn-e-be-zabānī
mujhe us se kyā tavaqqo ba-zamāna-e-javānī
kabhī kūdkī meñ jis ne na sunī mirī kahānī
yuuñ hī dukh kisī ko denā nahīñ ḳhuub varna kahtā
ki mire adū ko yā rab mile merī zindagānī
jo na naqd-e-dagh-e-dil ki kare shola pasbani
to fasurdagi nihan hai ba-kamin-e-be-zabani
mujhe us se kya tawaqqo ba-zamana-e-jawani
kabhi kudki mein jis ne na suni meri kahani
yun hi dukh kisi ko dena nahin KHub warna kahta
ki mere adu ko ya rab mile meri zindagani
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.