jo paD gai thi girah dil mein kholte hum bhi
jo paḌ ga.ī thī girah dil meñ kholte ham bhī
vo baat kartā to kuchh us se bolte ham bhī
havā ko kis ne chhuā hai jo tujh ko chhū paate
ḳhalā meñ phirte haiñ rasta TaTolte ham bhī
kahāñ pe Thahreñ ki mānind-e-barg-e-āvāra
havā ke dosh pe phirte haiñ Dolte ham bhī
añdherā shahr kī galiyoñ kā ghar meñ dar aatā
zarā jo raat ko darvāza kholte ham bhī
'qamar' ye lutf na jiine kā phir hameñ aatā
lahū maiñ zahr agar ḳhud na gholte ham bhī
jo paD gai thi girah dil mein kholte hum bhi
wo baat karta to kuchh us se bolte hum bhi
hawa ko kis ne chhua hai jo tujh ko chhu pate
KHala mein phirte hain rasta TaTolte hum bhi
kahan pe Thahren ki manind-e-barg-e-awara
hawa ke dosh pe phirte hain Dolte hum bhi
andhera shahr ki galiyon ka ghar mein dar aata
zara jo raat ko darwaza kholte hum bhi
'qamar' ye lutf na jine ka phir hamein aata
lahu main zahr agar KHud na gholte hum bhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.