Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jo puchha kya mariz-e-gham ka darman ho nahin sakta

Boom Merathi

jo puchha kya mariz-e-gham ka darman ho nahin sakta

Boom Merathi

MORE BYBoom Merathi

    jo pūchhā kyā marīz-e-ġham darmāñ ho nahīñ saktā

    to saale ne kahā hañs kar ke haañ haañ ho nahīñ saktā

    bas ab bārah baras ke ho ga.e ḳhatna karā Daalo

    musalmānī na ho jis musalmāñ ho nahīñ saktā

    na hogā qais to us jagah ham jā-nashīñ hoñge

    ki dīvānoñ se ye ḳhālī bayābāñ ho nahīñ saktā

    kaho chāragaroñ se ek dam bāhar nikal jaa.eñ

    kabhī in se marīz-e-ġham darmāñ ho nahīñ saktā

    paḌeñ juute hazāroñ sar pe lekin maiñ na niklūñgā

    tere kūche ke ham-sar bāġh-e-rizvāñ ho nahīñ saktā

    abe sayyād kyoñ jhūTī tasallī mujh ko detā hai

    qafas meñ phuul rakhne se gulistāñ ho nahīñ saktā

    shab-e-va.ada jo karnā thā maiñ kartā rahā un se

    vo kahte rahe puurā ye armāñ ho nahīñ saktā

    lagā de aag un ke ghar meñ aur dushman ke chhappar meñ

    zarā kaam tujh se āh-e-sozāñ ho nahīñ saktā

    hakīm-o-doctor ko 'būm' sāhib kyoñ bulāte ho

    kabhī in se ilāj-e-dard-e-hijrāñ ho nahīñ saktā

    jo puchha kya mariz-e-gham ka darman ho nahin sakta

    to sale ne kaha hans kar ke han han ho nahin sakta

    bas ab barah baras ke ho gae KHatna kara Dalo

    musalmani na ho jis ki musalman ho nahin sakta

    na hoga qais to us ki jagah hum ja-nashin honge

    ki diwanon se ye KHali bayaban ho nahin sakta

    kaho chaaragaron se ek dam bahar nikal jaen

    kabhi in se mariz-e-gham ka darman ho nahin sakta

    paDen jute hazaron sar pe lekin main na niklunga

    tere kuche ke ham-sar bagh-e-rizwan ho nahin sakta

    abe sayyaad kyon jhuTi tasalli mujh ko deta hai

    qafas mein phul rakhne se gulistan ho nahin sakta

    shab-e-wada jo karna tha main karta hi raha un se

    wo kahte hi rahe pura ye arman ho nahin sakta

    laga de aag un ke ghar mein aur dushman ke chhappar mein

    zara sa kaam tujh se aah-e-sozan ho nahin sakta

    hakim-o-doctor ko 'bum' sahib kyon bulate ho

    kabhi in se ilaj-e-dard-e-hijran ho nahin sakta

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now