jo rah-rau mein abhi azm-e-rah-rawi kam hai
jo rāh-rau meñ abhī azm-e-rah-ravī kam hai
ba-qaid-e-hosh-o-ḳhirad aaj āgahī kam hai
fazā-e-dahr pe chhāne lagī hai tārīkī
ka.ī charāġh jalāo ki raushnī kam hai
haiñ yuuñ to aaj bhī pāband-e-mehr-o-māh magar
hanūz zehn meñ insāñ ke raushnī kam hai
hazār koshish-e-paiham ke baad bhī logo
mire zahan meñ abhī rabt-e-bāhamī kam hai
simaT ke markaz-e-aslī pe aa chukī duniyā
magar diloñ meñ kuchh ehsās-e-zindagī kam hai
'kalīm' azmat-e-ahd-e-vafā se vāqif hai
magar shu.ūr-e-vafā aap ko abhī kam hai
jo rah-rau mein abhi azm-e-rah-rawi kam hai
ba-qaid-e-hosh-o-KHirad aaj aagahi kam hai
faza-e-dahr pe chhane lagi hai tariki
kai charagh jalao ki raushni kam hai
hain yun to aaj bhi paband-e-mehr-o-mah magar
hanuz zehn mein insan ke raushni kam hai
hazar koshish-e-paiham ke baad bhi logo
mere zahan mein abhi rabt-e-bahami kam hai
simaT ke markaz-e-asli pe aa chuki duniya
magar dilon mein kuchh ehsas-e-zindagi kam hai
'kalim' azmat-e-ahd-e-wafa se waqif hai
magar shuur-e-wafa aap ko abhi kam hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.