jo raazdar the pahle wo dushman-e-jaan hain
jo rāzdār the pahle vo dushman-e-jāñ haiñ
magar jo dushman-e-jāñ the vo rāzdār hue
gunāh ḳhud hī kiyā ḳhud ko phir sazā de lī
ham apne hāthoñ ka.ī baar sangsār hue
kabhī fasāna sunā kar bhī aañkh nam na huī
tumhāre zikr pe hī aaj ashk-bār hue
har ek chiiz kī is daur meñ sifat badlī
pahāḌ shahr bane shahr kohsār hue
vo paude jin ke sarāpe baḌe mulā.em the
hamāre dekhte lamhoñ meñ ḳhār-dār hue
garebāñ jin pe bharosa thā ham faqīroñ ko
junūñ kī aañch se pal-bhar meñ taar taar hue
baḌhā.eñ un kī taraf dast-e-dostī kyūñ-kar
jo gul-sifat the kabhī 'faḳhr' ab vo ḳhaar hue
jo raazdar the pahle wo dushman-e-jaan hain
magar jo dushman-e-jaan the wo raazdar hue
gunah KHud hi kiya KHud ko phir saza de li
hum apne hathon kai bar sangsar hue
kabhi fasana suna kar bhi aankh nam na hui
tumhaare zikr pe hi aaj ashk-bar hue
har ek chiz ki is daur mein sifat badli
pahaD shahr bane shahr kohsar hue
wo paude jin ke sarape baDe mulaem the
hamare dekhte lamhon mein KHar-dar hue
gareban jin pe bharosa tha hum faqiron ko
junun ki aanch se pal-bhar mein tar tar hue
baDhaen un ki taraf dast-e-dosti kyun-kar
jo gul-sifat the kabhi 'faKHr' ab wo KHar hue
- Book : Zehrab (Pg. 33)
- Author : Fakhrezaman
- Publication : Idarah Eshat-e-adab, Gujrat (1968)
- Edition : 1968
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.