Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jo raha yun hi salamat mera jazb-e-walihana

Shameem Farooq Banspari

jo raha yun hi salamat mera jazb-e-walihana

Shameem Farooq Banspari

MORE BYShameem Farooq Banspari

    jo rahā yuuñ salāmat mirā jazb-e-vālihāna

    mujhe ḳhud karegā sajda tirā sang-e-āstāna

    rah-e-haq ke hādsoñ na sunā mujhe fasāna

    tirī rahbarī ġhalat thī ki bahak gayā zamāna

    maiñ jahān-e-hosh-o-irfāñ ba-libās-e-kāfirāna

    ba-hijāb-e-pārsā.ī hama-sharāb-ḳhāna

    tujhe yaad hai sitamgar koī aur bhī fasāna

    vahī zikr-e-āb-o-dāna vahī fikr-e-tā.erāna

    mirī zindagī mehvar yahī soz-o-sāz-e-hastī

    kabhī jazb-e-vālihāna kabhī zabt-e-ārifāna

    tirā jazba-e-rifāqat mirā saath kaise degā

    ki maiñ zinda-e-kohistāñ halāk-e-āshiyāna

    mirī bazm-e-fikr meñ hai yahī kashmakash azal se

    kabhī chhā ga.ī haqīqat kabhī jam gayā fasāna

    vo bajā.e aah 'fārūq' abhī vaah kar rahe haiñ

    abhī dard se hai ḳhālī ye navā-e-āshiqāna

    jo raha yun hi salamat mera jazb-e-walihana

    mujhe KHud karega sajda tera sang-e-astana

    rah-e-haq ke hadson ka na suna mujhe fasana

    teri rahbari ghalat thi ki bahak gaya zamana

    main jahan-e-hosh-o-irfan ba-libas-e-kafirana

    ba-hijab-e-parsai tu hama-sharab-KHana

    tujhe yaad hai sitamgar koi aur bhi fasana

    wahi zikr-e-ab-o-dana wahi fikr-e-taerana

    meri zindagi ka mehwar yahi soz-o-saz-e-hasti

    kabhi jazb-e-walihana kabhi zabt-e-arifana

    tera jazba-e-rifaqat mera sath kaise dega

    ki main zinda-e-kohistan tu halak-e-ashiyana

    meri bazm-e-fikr mein hai yahi kashmakash azal se

    kabhi chha gai haqiqat kabhi jam gaya fasana

    wo bajae aah 'faruq' abhi wah kar rahe hain

    abhi dard se hai KHali ye nawa-e-ashiqana

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now