Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jo saf-go hon to unchi jagah khaDa milunga

aabid umar

jo saf-go hon to unchi jagah khaDa milunga

aabid umar

MORE BYaabid umar

    jo sāf-go hoñ to ūñchī jagah khaḌā milūñgā

    vagarna tujh ko kahīñ ḳhaak meñ paḌā milūñgā

    sāloñ baad bhī mujh ko manāne aa.e to

    maiñ apnī ek zid par tujhe aḌā milūñgā

    ḳhud ko yūñhī girātā rahā to āḳhir-kār

    maiñ tere qad se tujhe sau gunā baḌā milūñgā

    lakīr khīñch ke rakhnā tasallī ḳhātir

    ki apnī had se na yaksar tujhe baḌhā milūñgā

    huuñ bā-vafā to mirā sar nahīñ jhukegā kabhī

    jo bevafā huuñ to phir sharm se gaḌā milūñgā

    sadāqateñ mirī shādāb rakheñgī mujhe

    maiñ zard pattā nahīñ huuñ ki jo jhaḌā milūñgā

    sitam se bhaag ke jiinā hai maut se bad-tar

    barā-e-haq maiñ tujhe daar par chaḌhā milūñgā

    jo saf-go hon to unchi jagah khaDa milunga

    wagarna tujh ko kahin KHak mein paDa milunga

    tu salon baad bhi mujh ko manane aae to

    main apni ek hi zid par tujhe aDa milunga

    tu KHud ko yunhi giraata raha to aaKHir-kar

    main tere qad se tujhe sau guna baDa milunga

    lakir khinch ke rakhna tasalli ki KHatir

    ki apni had se na yaksar tujhe baDha milunga

    hun ba-wafa to mera sar nahin jhukega kabhi

    jo bewafa hun to phir sharm se gaDa milunga

    sadaqaten meri shadab hi rakhengi mujhe

    main zard patta nahin hun ki jo jhaDa milunga

    sitam se bhag ke jina hai maut se bad-tar

    bara-e-haq main tujhe dar par chaDha milunga

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now