jo sahifon mein likhi hai wo qayamat ho jae
jo sahīfoñ meñ likhī hai vo qayāmat ho jaa.e
gar mohabbat dil-e-insāñ se bhī ruḳhsat ho jaa.e
tū zamīnoñ pe utar kar jo guzāre ik din
āsmānoñ ke ḳhudā tujh ko bhī hairat ho jaa.e
kahīñ aisā na ho tanhā yūñhī rahte rahte
rafta rafta mujhe tanhā.ī kī 'ādat ho jaa.e
kuchh bashar aise bhī hote haiñ ki jin se mil kar
devtāoñ kī tarah un se 'aqīdat ho jaa.e
bad-du'ā us ne mujhe dī hai ki 'rūhī' tujh ko
apne jaise kisī zālim se mohabbat ho jaa.e
jo sahifon mein likhi hai wo qayamat ho jae
gar mohabbat dil-e-insan se bhi ruKHsat ho jae
tu zaminon pe utar kar jo guzare ek din
aasmanon ke KHuda tujh ko bhi hairat ho jae
kahin aisa na ho tanha yunhi rahte rahte
rafta rafta mujhe tanhai ki 'adat ho jae
kuchh bashar aise bhi hote hain ki jin se mil kar
dewtaon ki tarah un se 'aqidat ho jae
bad-du'a us ne mujhe di hai ki 'ruhi' tujh ko
apne jaise kisi zalim se mohabbat ho jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.