jo sail-e-dard uTha tha wo jaan chhoD gaya
jo sail-e-dard uThā thā vo jaan chhoḌ gayā
magar vujūd pe apnā nishān chhoḌ gayā
har ek chiiz meñ ḳhushbū hai us ke hone kī
'ajab nishāniyāñ vo mehmān chhoḌ gayā
na saath rahne kā vā'da agar kiyā puurā
zamīñ kā saath agar āsmān chhoḌ gayā
zarā sī der ko baiThā jhukā gayā shāḳheñ
parinda peḌ meñ apnī thakān chhoḌ gayā
vo vāqi'a mirā kirdār ubhartā thā jis meñ
kahānī-kār usī kā bayān chhoḌ gayā
simaTtī phailtī tanhā.ī sote jāgte dard
vo apne aur mire darmiyān chhoḌ gayā
bahut 'azīz thī niind us ko sub.h-e-kāzib kī
so us ko sote hue kārvān chhoḌ gayā
rahā 'riyāz' añdheroñ meñ nauha karne ko
vo āñkheñ nochne vaalā zabān chhoḌ gayā
jo sail-e-dard uTha tha wo jaan chhoD gaya
magar wujud pe apna nishan chhoD gaya
har ek chiz mein KHushbu hai us ke hone ki
'ajab nishaniyan wo mehman chhoD gaya
na sath rahne ka wa'da agar kiya pura
zamin ka sath agar aasman chhoD gaya
zara si der ko baiTha jhuka gaya shaKHen
parinda peD mein apni thakan chhoD gaya
wo waqi'a mera kirdar ubharta tha jis mein
kahani-kar usi ka bayan chhoD gaya
simaTti phailti tanhai sote jagte dard
wo apne aur mere darmiyan chhoD gaya
bahut 'aziz thi nind us ko subh-e-kazib ki
so us ko sote hue karwan chhoD gaya
raha 'riyaz' andheron mein nauha karne ko
wo aankhen nochne wala zaban chhoD gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.