jo samundar hamein ghanghor ghaTa deta hai
jo samundar hameñ ghanghor ghaTā detā hai
vahī qatroñ ko bhī dariyā se milā detā hai
jiddat-āmoz zamāna hameñ kyā detā hai
raah kī dhuul samajhtā hai uḌā detā hai
muflisī kitnī taḌap uThtī hai betābi se
aa ke saa.il jo kabhī dar pe sadā detā hai
zabt kā peḌ ghanā dil meñ lagā.e rakhnā
ye ghanā peḌ sadā ThanDī havā detā hai
tah meñ jāoge to motī bhī mileñge tum ko
bulbula saare ḳhazāne kā pata detā hai
chain se rahtā hai buniyād kā patthar 'ejāz'
zalzala ūñchī imārat ko girā detā hai
jo samundar hamein ghanghor ghaTa deta hai
wahi qatron ko bhi dariya se mila deta hai
jiddat-amoz zamana hamein kya deta hai
rah ki dhul samajhta hai uDa deta hai
muflisi kitni taDap uThti hai betabi se
aa ke sail jo kabhi dar pe sada deta hai
zabt ka peD ghana dil mein lagae rakhna
ye ghana peD sada ThanDi hawa deta hai
tah mein jaoge to moti bhi milenge tum ko
bulbula sare KHazane ka pata deta hai
chain se rahta hai buniyaad ka patthar 'ejaz'
zalzala unchi imarat ko gira deta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.