jo sarguzisht apni hum kahenge koi sunega to kya karenge
jo sarguzisht apnī ham kaheñge koī sunegā to kyā kareñge
jo yaad ā.eñgī terī bāteñ to chup hī pahroñ rahā kareñge
jo chāho kah lo yahī ḳhushī hai to ham bhī phir kyuuñ gilā kareñge
jo kuchh sunā.egī apnī qismat tumhāre muñh se sunā kareñge
kise ġharaz hai phir aap ko kyuuñ sanam kā bandā kahā kareñge
jo yūñhī ham ko bhulā.eñge vo to ham bhī yād-e-ḳhudā kareñge
abas ye har-dam kā chauñknā hai abas ye uTh uTh ke dekhnā hai
bhalā vo aise hue the kis din vahī to va.ada vafā kareñge
ilāhī qāsid abhī na aa.e ki ye tavaqqo.a bhī hai ġhanīmat
kiyā gar inkār saaf us ne to dil kī taskīn kyā kareñge
lo mil bhī jaao na kuchh tumhārī ḳhatā thī us dam na kuchh hamārī
jo ye hī dil ke muāmle haiñ to yūñhī jhagḌe rahā kareñge
hameñ to dekho ye kyā huā hai ki un ke kahne kā phir yaqīñ hai
vo jo jhuuT yūñhī kahā kareñge adū se yūñhī milā kareñge
sitam kī kiije agar shikāyat to kahte haiñ bas tumheñ bhī dekhā
yahāñ kuchh aisī ġharaz hai kis ko kisī pe ham kyuuñ jafā kareñge
ye sach hai nāseh! na hogā milnā nahīñ hai achchhā na hogā achchhā
phir aap ko kyā burā kaheñge to apne haq meñ burā kareñge
'nizām' taqrīr phir abas hai javāb kuchh us kā de sakoge
vo us kā har baat par ye kahnā ki ham to apnā kahā kareñge
jo sarguzisht apni hum kahenge koi sunega to kya karenge
jo yaad aaengi teri baaten to chup hi pahron raha karenge
jo chaho kah lo yahi KHushi hai to hum bhi phir kyun gila karenge
jo kuchh sunaegi apni qismat tumhaare munh se suna karenge
kise gharaz hai phir aap ko kyun sanam ka banda kaha karenge
jo yunhi hum ko bhulaenge wo to hum bhi yaad-e-KHuda karenge
abas ye har-dam ka chaunkna hai abas ye uTh uTh ke dekhna hai
bhala wo aise hue the kis din wahi to wada wafa karenge
ilahi qasid abhi na aae ki ye tawaqqoa bhi hai ghanimat
kiya gar inkar saf us ne to dil ki taskin kya karenge
lo mil bhi jao na kuchh tumhaari KHata thi us dam na kuchh hamari
jo ye hi dil ke muamle hain to yunhi jhagDe raha karenge
hamein to dekho ye kya hua hai ki un ke kahne ka phir yaqin hai
wo jo jhuT yunhi kaha karenge adu se yunhi mila karenge
sitam ki kije agar shikayat to kahte hain bas tumhein bhi dekha
yahan kuchh aisi gharaz hai kis ko kisi pe hum kyun jafa karenge
ye sach hai naseh! na hoga milna nahin hai achchha na hoga achchha
phir aap ko kya bura kahenge to apne haq mein bura karenge
'nizam' taqrir phir abas hai jawab kuchh us ka de sakoge
wo us ka har baat par ye kahna ki hum to apna kaha karenge
- Book : kulliyat-e-nizaam (Pg. 359)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.