jo saza chaho mohabbat se do yaro mujhko
jo sazā chāho mohabbat se do yaaro mujh ko
lekin aḳhlāq ke patthar se na maaro mujh ko
ābshāroñ kī tarah maiñ nahīñ girne vaalā
dhuup kī tarah pahāḌoñ se utāro mujh ko
maiñ to har haal meñ Dūbūñgā magar aḳhlāqan
ye zarūrī hai ki sāhil se pukāro mujh ko
azmat-e-tishna-labī bhuul na jaao logo
phir kisī dasht se ik baar guzāro mujh ko
tum to Duube hue ḳhurshīd ke parvarda ho
tum nahīñ jānte ai chāñd sitāro mujh ko
jo saza chaho mohabbat se do yaro mujh ko
lekin aKHlaq ke patthar se na maro mujh ko
aabshaaron ki tarah main nahin girne wala
dhup ki tarah pahaDon se utaro mujh ko
main to har haal mein Dubunga magar aKHlaqan
ye zaruri hai ki sahil se pukaro mujh ko
azmat-e-tishna-labi bhul na jao logo
phir kisi dasht se ek bar guzaro mujh ko
tum to Dube hue KHurshid ke parwarda ho
tum nahin jaante ai chand sitaro mujh ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.