Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jo shaeraat ke chakkar mein ishq karte hain

Mahtab Dasti

jo shaeraat ke chakkar mein ishq karte hain

Mahtab Dasti

MORE BYMahtab Dasti

    jo shā.erāt ke chakkar meñ ishq karte haiñ

    vo sirf baat ke chakkar meñ ishq karte haiñ

    guzārishāt ke chakkar meñ ishq karte haiñ

    sabhī mamāt ke chakkar meñ ishq karte haiñ

    shikastagī ke satā.e hue zamāne meñ

    dil-e-sabāt ke chakkar meñ ishq karte haiñ

    maiñ iḳhtiyār ke har marhale se bāhar huuñ

    vo apnī ghaat ke chakkar meñ ishq karte haiñ

    jinheñ kabhī kisī mushkil sāmnā na ho

    vo mushkilāt ke chakkar meñ ishq karte haiñ

    ye ishq pyaar mohabbat nahīñ koī kuchh bhī

    suhāg raat ke chakkar meñ ishq karte haiñ

    zamāna ḳhud talabgār ho rahā un

    jo mo.ajizāt ke chakkar meñ ishq karte haiñ

    ye maut ma.anī nahīñ rakhtī koī bhī apnā

    sabhī hayāt ke chakkar meñ ishq karte haiñ

    kahīñ milegā koī to surāġh duniyā

    so kā.enāt ke chakkar meñ ishq karte haiñ

    maiñ 'māhtāb' huuñ niklā huuñ jītne us ko

    sabhī to maat ke chakkar meñ ishq karte haiñ

    jo shaeraat ke chakkar mein ishq karte hain

    wo sirf baat ke chakkar mein ishq karte hain

    guzarishat ke chakkar mein ishq karte hain

    sabhi mamat ke chakkar mein ishq karte hain

    shikastagi ke satae hue zamane mein

    dil-e-sabaat ke chakkar mein ishq karte hain

    main iKHtiyar ke har marhale se bahar hun

    wo apni ghat ke chakkar mein ishq karte hain

    jinhen kabhi kisi mushkil ka samna na ho

    wo mushkilat ke chakkar mein ishq karte hain

    ye ishq pyar mohabbat nahin koi kuchh bhi

    suhag raat ke chakkar mein ishq karte hain

    zamana KHud hi talabgar ho raha un ka

    jo moajizat ke chakkar mein ishq karte hain

    ye maut mani nahin rakhti koi bhi apna

    sabhi hayat ke chakkar mein ishq karte hain

    kahin milega koi to suragh duniya ka

    so kaenat ke chakkar mein ishq karte hain

    main 'mahtab' hun nikla hun jitne us ko

    sabhi to mat ke chakkar mein ishq karte hain

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now