jo shahr-e-wahshat mein ja basa ho wo kya sukun-o-qarar likkhe
jo shahr-e-wahshat mein ja basa ho wo kya sukun-o-qarar likkhe
Hijab Abbasi
MORE BYHijab Abbasi
jo shahr-e-vahshat meñ jā basā ho vo kyā sukūn-o-qarār likkhe
kise hai ye hausla ki bikhre to kirchiyoñ kā shumār likkhe
kabhī sunā.ī nahīñ kisī ko bhī dāstān-e-dil-e-darīda
bahut qarīne se zaḳhm likkhe bahut salīqe se ḳhaar likkhe
bahut suhūlat se chup ko likkhā likhā hai hasrat se guftugū ko
vo jo gumāñ the koī na likkhe yaqīñ ke pahlū hazār likkhe
rafāqatoñ ke nagar meñ dekhā akelā-pan thā muhīt har sū
talab kisī ko nahīñ kisī kī na ab koī ġham-gusār likkhe
safar hai lāzim to kyoñ ho mātam ye rā.egānī kā zikr kaisā
jo mere raste ke pech-o-ḳham the vo rahguzar kā ġhubār likkhe
kisī kahānī meñ ranj likkhā kisī ġhazal meñ hai zabt-e-girya
kabhī sañvarne kī baat kī hai kahīñ faqat iztirār likkhe
'hijāb' kahnā ye us se jā kar kisī ko terā junūñ nahīñ hai
kisī ko ujlat nahīñ hai koī sukūn se intizār likkhe
ye dil aham hai chalo ye maanā magar suno ye anā bhī kuchh hai
to ye bhī us se 'hijāb' kahnā kabhī na ḳhud be-qarār likkhe
jo shahr-e-wahshat mein ja basa ho wo kya sukun-o-qarar likkhe
kise hai ye hausla ki bikhre to kirchiyon ka shumar likkhe
kabhi sunai nahin kisi ko bhi dastan-e-dil-e-darida
bahut qarine se zaKHm likkhe bahut saliqe se KHar likkhe
bahut suhulat se chup ko likkha likha hai hasrat se guftugu ko
wo jo guman the koi na likkhe yaqin ke pahlu hazar likkhe
rafaqaton ke nagar mein dekha akela-pan tha muhit har su
talab kisi ko nahin kisi ki na ab koi gham-gusar likkhe
safar hai lazim to kyon ho matam ye raegani ka zikr kaisa
jo mere raste ke pech-o-KHam the wo rahguzar ka ghubar likkhe
kisi kahani mein ranj likkha kisi ghazal mein hai zabt-e-girya
kabhi sanwarne ki baat ki hai kahin faqat iztirar likkhe
'hijab' kahna ye us se ja kar kisi ko tera junun nahin hai
kisi ko ujlat nahin hai koi sukun se intizar likkhe
ye dil aham hai chalo ye mana magar suno ye ana bhi kuchh hai
to ye bhi us se 'hijab' kahna kabhi na KHud be-qarar likkhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.