jo sitara TuT kar pamal hai ab KHak mein
jo sitāra TuuT kar pāmāl hai ab ḳhaak meñ
ye kabhī tābinda thā jab rahtā thā aflāk meñ
maiñ to miTTī hī thī aur miTTī hī rah jaatī magar
kūza-gar ke haath meñ yā thā fusūñ kuchh chaak meñ
vāqi.a terī sharārat kā koī yaad aa gayā
hañs paḌī be-sāḳhta maiñ lamha-e-namnāk meñ
kaaT do mere paroñ ko rok do merī uḌaan
bikhre haiñ ḳhvāboñ ke TukḌe is ḳhas-o-ḳhāshāk meñ
shab ne rañgat ke liye hī māh-o-aḳhtar ko 'anā'
dekhiye Tāñkā hai kaise apnī is poshāk meñ
jo sitara TuT kar pamal hai ab KHak mein
ye kabhi tabinda tha jab rahta tha aflak mein
main to miTTi hi thi aur miTTi hi rah jati magar
kuza-gar ke hath mein ya tha fusun kuchh chaak mein
waqia teri shararat ka koi yaad aa gaya
hans paDi be-saKHta main lamha-e-namnak mein
kaT do mere paron ko rok do meri uDan
bikhre hain KHwabon ke TukDe is KHas-o-KHashak mein
shab ne rangat ke liye hi mah-o-aKHtar ko 'ana'
dekhiye Tanka hai kaise apni is poshak mein
- Book : Word File Mail By Salim Saleem
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.