jo tamam umr ban kar mera hausla rahi hai
jo tamām umr ban kar mirā hausla rahī hai
vahī aaj merī ġhairat mujhe aazmā rahī hai
mirī fikr jaane mujh ko kahāñ le ke jā rahī hai
ki qadam qadam pe manzil sar-e-rāh aa rahī hai
nahīñ chhoḌtī hai mujh ko kisī moḌ par ye duniyā
maiñ ise rulā rahā huuñ ye mujhe rulā rahī hai
tū ye jāntā hai phir bhī nahīñ fikr āḳhirat kī
tirī maut rafta rafta tire paas aa rahī hai
jo ab aa ga.e ho tum to mujhe chhoḌ kar na jaanā
ki tumhāre bin ye hastī baḌī be-maza rahī hai
mirī zindagī ke mālik maiñ ye tujh se pūchhtā huuñ
mujhe kyoñ jahāñ meñ bhejā mirī kyā ḳhatā rahī hai
ye na ho ki vaqt-e-āḳhir rahe dil kī baat dil meñ
mirī jaan ab to aa jā mirī jaan jā rahī hai
jo tumheñ milā hai mansab use dā.imī na samjho
kisī ek kī hukūmat yahāñ kab sadā rahī hai
mujhe ab ye lag rahā hai vo ḳhizāñ thī Thiik 'rahbar'
ye bahār kaise kaise na.e gul khilā rahī hai
jo tamam umr ban kar mera hausla rahi hai
wahi aaj meri ghairat mujhe aazma rahi hai
meri fikr jaane mujh ko kahan le ke ja rahi hai
ki qadam qadam pe manzil sar-e-rah aa rahi hai
nahin chhoDti hai mujh ko kisi moD par ye duniya
main ise rula raha hun ye mujhe rula rahi hai
tu ye jaanta hai phir bhi nahin fikr aaKHirat ki
teri maut rafta rafta tere pas aa rahi hai
jo ab aa gae ho tum to mujhe chhoD kar na jaana
ki tumhaare bin ye hasti baDi be-maza rahi hai
meri zindagi ke malik main ye tujh se puchhta hun
mujhe kyon jahan mein bheja meri kya KHata rahi hai
ye na ho ki waqt-e-aKHir rahe dil ki baat dil mein
meri jaan ab to aa ja meri jaan ja rahi hai
jo tumhein mila hai mansab use daimi na samjho
kisi ek ki hukumat yahan kab sada rahi hai
mujhe ab ye lag raha hai wo KHizan thi Thik 'rahbar'
ye bahaar kaise kaise nae gul khila rahi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.