jo tang aa kar kisi din dil pe hum kuchh Than lete hain
jo tang aa kar kisi din dil pe hum kuchh Than lete hain
Shad Azimabadi
MORE BYShad Azimabadi
jo tañg aa kar kisī din dil pe ham kuchh Thaan lete haiñ
sitam dekho ki vo bhī chhūTte pahchān lete haiñ
ba-qadr-e-hausla sahrā-e-vahshat chhān lete haiñ
musāfir haiñ safar ke vāste sāmān lete haiñ
ḳhudā chāhe to ab ke qatl-gah meñ mushkil āsāñ ho
tire bīmār-e-nāhaq maut kā ehsān lete haiñ
kahīñ marqad pe jaate haiñ kahīñ ghar tak nahīñ jaate
kisī ko jaan dete haiñ kisī kī jaan lete haiñ
kudūrat taaki rah jaa.e sab apne dāman-e-tar meñ
sharāb-e-shauq ham piine ke pahle chhān lete haiñ
hamārī shā.irī zinda huī ai 'shād' marne par
ki shā.eq naqd-e-jāñ de de ke ab dīvān lete haiñ
jo tang aa kar kisi din dil pe hum kuchh Than lete hain
sitam dekho ki wo bhi chhuTte pahchan lete hain
ba-qadr-e-hausla sahra-e-wahshat chhan lete hain
musafir hain safar ke waste saman lete hain
KHuda chahe to ab ke qatl-gah mein mushkil aasan ho
tere bimar-e-nahaq maut ka ehsan lete hain
kahin marqad pe jate hain kahin ghar tak nahin jate
kisi ko jaan dete hain kisi ki jaan lete hain
kudurat taki rah jae sab apne daman-e-tar mein
sharab-e-shauq hum pine ke pahle chhan lete hain
hamari shairi zinda hui ai 'shad' marne par
ki shaeq naqd-e-jaan de de ke ab diwan lete hain
- Book : Dewan-e-shad Azimabadi (Pg. 237)
- Author : Shad Azimabadi
- Publication : Educational Publishing House (2005)
- Edition : 2005
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.