jo tere dil mein hai wo baat mere dhyan mein hai
jo tere dil meñ hai vo baat mere dhyān meñ hai
tirī shikast tirī luknat-e-zabān meñ hai
tire visāl kī ḳhush-bū se baḌhtī jaatī hai
na jaane kaun sī dīvār darmiyān meñ hai
hameñ tabāh kiyā aab o gil kī sāzish ne
ki ek dost hamārā bhī āsmān meñ hai
magar ye log bhalā kis liye udaas hue
ye kyā tilism bahāroñ kī dāstān meñ hai
ham ahl-e-dard ko tohmat huī hai āzādī
ki saarī umr giraftār ek aan meñ hai
jo tere dil mein hai wo baat mere dhyan mein hai
teri shikast teri luknat-e-zaban mein hai
tere visal ki KHush-bu se baDhti jati hai
na jaane kaun si diwar darmiyan mein hai
hamein tabah kiya aab o gil ki sazish ne
ki ek dost hamara bhi aasman mein hai
magar ye log bhala kis liye udas hue
ye kya tilism bahaaron ki dastan mein hai
hum ahl-e-dard ko tohmat hui hai aazadi
ki sari umr giraftar ek aan mein hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.