jo tere hote hue zindagi shikast hui
jo tere hote hue zindagī shikast huī
mirī shikast se pahle tirī shikast huī
ye sard jang bhī vo muskurā ke jiit gayā
ajiib ruḳh se mirī be-ruḳhī shikast huī
mire hunar kā use bhī na thā kuchh andāza
malāl ye hai use dūsrī shikast huī
savāl ye hai ki tark-e-ta.alluqāt ke baad
tirī shikast huī yā mirī shikast huī
nasīb fat.h bil-āḳhir use huī 'tāhir'
qadam qadam pe jise aarzī shikast huī
jo tere hote hue zindagi shikast hui
meri shikast se pahle teri shikast hui
ye sard jang bhi wo muskura ke jit gaya
ajib ruKH se meri be-ruKHi shikast hui
mere hunar ka use bhi na tha kuchh andaza
malal ye hai use dusri shikast hui
sawal ye hai ki tark-e-talluqat ke baad
teri shikast hui ya meri shikast hui
nasib fath bil-aKHir use hui 'tahir'
qadam qadam pe jise aarzi shikast hui
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.