jo tere sath guzari wo raat le aaya
jo tere saath guzārī vo raat le aayā
maiñ apne ḳhvāb sabhī apne saath le aayā
maiñ phir se royā bahut giḌgiḌāyā bhī lekin
maiñ phir se dar se tire ḳhālī haath le aayā
bahut amiir thā lekin maiñ ab bhikārī huuñ
na jaane kaun mirī kā.enāt le aayā
vo jis ko maiñ ne banāyā thā apnā hisse-dār
vahī to nuur mirā hissa saath le aayā
akele-pan kī aziyyat maiñ jāntā huuñ 'nūr'
isī liye maiñ qalam aur davāt le aayā
jo tere sath guzari wo raat le aaya
main apne KHwab sabhi apne sath le aaya
main phir se roya bahut giDgiDaya bhi lekin
main phir se dar se tere KHali hath le aaya
bahut amir tha lekin main ab bhikari hun
na jaane kaun meri kaenat le aaya
wo jis ko main ne banaya tha apna hisse-dar
wahi to nur mera hissa sath le aaya
akele-pan ki aziyyat main jaanta hun 'nur'
isi liye main qalam aur dawat le aaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.