jo tere shahr se main dar-ba-dar nahin hota
jo tere shahr se maiñ dar-ba-dar nahīñ hotā
to merā ishq kabhī mo'atabar nahīñ hotā
ye arsh-o-farsh tirī muTThiyoñ meñ hote band
tū apne haal se gar be-ḳhabar nahīñ hotā
maza to jab hai mire saath saath tū bhī chal
rah-e-vafā meñ akele safar nahīñ hotā
rah-e-hayāt meñ aisā bhī moḌ aatā hai
sharīk-e-hāl koī ham-safar nahīñ hotā
tamām umr nafas se jihād karnā hai
do-chār din meñ to koī bashar nahīñ hotā
isī liye to bayābāñ meñ merā maskan hai
harīf-e-va.ada-shikan jānvar nahīñ hotā
zarūr koī kamī hai 'niyāz' jab hī to
jo iztirāb idhar hai udhar nahīñ hotā
jo tere shahr se main dar-ba-dar nahin hota
to mera ishq kabhi mo'atabar nahin hota
ye arsh-o-farsh teri muTThiyon mein hote band
tu apne haal se gar be-KHabar nahin hota
maza to jab hai mere sath sath tu bhi chal
rah-e-wafa mein akele safar nahin hota
rah-e-hayat mein aisa bhi moD aata hai
sharik-e-haal koi ham-safar nahin hota
tamam umr nafas se jihad karna hai
do-chaar din mein to koi bashar nahin hota
isi liye to bayaban mein mera maskan hai
harif-e-wada-shikan jaanwar nahin hota
zarur koi kami hai 'niyaz' jab hi to
jo iztirab idhar hai udhar nahin hota
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.