jo tha har aan mubtala mera
jo thā har aan mubtalā merā
vo bhī samjhā na mājrā merā
hai mohabbat meñ kuchh havas pinhāñ
tū na kariyo kabhī kahā merā
tere nazdīk rah ke bhī tujh se
kam hī kam vāsta rahā merā
sab se avval hai baat gaḌhne meñ
haa.e zālim muāshra merā
itnā vīrān thā maiñ andar se
mujh meñ man hī nahīñ lagā merā
kaash tū dhuup kī saḌak hotī
aks phir tujh pe dauḌtā merā
muḳhtalif hai ḳhudā zamāne ke
jaane ho kaun sā ḳhudā merā
kaun 'āfī' bune mujhe phir se
haath aatā nahīñ sirā merā
jo tha har aan mubtala mera
wo bhi samjha na majra mera
hai mohabbat mein kuchh hawas pinhan
tu na kariyo kabhi kaha mera
tere nazdik rah ke bhi tujh se
kam hi kam wasta raha mera
sab se awwal hai baat gaDhne mein
hae zalim muashra mera
itna viran tha main andar se
mujh mein man hi nahin laga mera
kash tu dhup ki saDak hoti
aks phir tujh pe dauDta mera
muKHtalif hai KHuda zamane ke
jaane ho kaun sa KHuda mera
kaun 'afi' bune mujhe phir se
hath aata nahin sira mera
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.