jo tere dar pe ruk gai hogi
jo tire dar pe ruk ga.ī hogī
vo nazar mujh ko DhūñDhtī hogī
zindagī bhī udaas rāhoñ meñ
mere baare meñ sochtī hogī
un nigāhoñ se vāsta bhī kyā
jin nigāhoñ meñ be-ruḳhī hogī
din kī yādoñ se raushnī pā kar
raat sarshār ho ga.ī hogī
jin ko apnā pata nahīñ mālūm
un se kyā ḳhaak rahbarī hogī
saḳht rāhoñ se bach ke 'shā.ista'
bhaag jaanā to buzdilī hogī
jo tere dar pe ruk gai hogi
wo nazar mujh ko DhunDhti hogi
zindagi bhi udas rahon mein
mere bare mein sochti hogi
un nigahon se wasta bhi kya
jin nigahon mein be-ruKHi hogi
din ki yaadon se raushni pa kar
raat sarshaar ho gai hogi
jin ko apna pata nahin malum
un se kya KHak rahbari hogi
saKHt rahon se bach ke 'shaista'
bhag jaana to buzdili hogi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.