jo tere dekhne se nikle hain
jo tire dekhne se nikle haiñ
vo bhī din kyā maze se nikle haiñ
vo kahāñ nazr jaañ kareñ apnī
jo parinde diye se nikle haiñ
jo kisī samt bhī nahīñ jaate
ham usī rāste se nikle haiñ
ziist ko paḌh ke ye huā raushan
matn sab hāshiye se nikle haiñ
saare armān āñdhiyoñ ke 'salīm'
mere par TūTne se nikle haiñ
jo tere dekhne se nikle hain
wo bhi din kya maze se nikle hain
wo kahan nazr jaan karen apni
jo parinde diye se nikle hain
jo kisi samt bhi nahin jate
hum usi raste se nikle hain
zist ko paDh ke ye hua raushan
matn sab hashiye se nikle hain
sare arman aandhiyon ke 'salim'
mere par TuTne se nikle hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.