jo teri mahfil se zauq-e-KHam le kar aae hain
jo tirī mahfil se zauq-e-ḳhām le kar aa.e haiñ
apne sar vo ḳhud hī ik ilzām le kar aa.e haiñ
zindagī ke narm kāñdhoñ par liye phirte haiñ ham
ġham kā jo bār-e-girāñ in.aam le kar aa.e haiñ
vaqt ke nādāñ parinde zo.am-e-dānā.ī ke gird
ḳhūb-sūrat ḳhvāhishoñ ke daam le kar aa.e haiñ
ek manzar par nazar Thahre to Thahre kis tarah
ham mizāj-e-gardish-e-ayyām le kar aa.e haiñ
be-ḳhudī achchhī thī ab to āgahī kī shakl meñ
ġham hī ġham nā-vāqif-e-anjām le kar aa.e haiñ
pattharoñ ke rāste se apne shīshe ke qadam
sa.i-e-lā-hāsil kā ik paiġhām le kar aa.e haiñ
be-amal logoñ se jab pūchho to kahte haiñ kī 'shān'
ham azal se qismat-e-nākām le kar aa.e haiñ
jo teri mahfil se zauq-e-KHam le kar aae hain
apne sar wo KHud hi ek ilzam le kar aae hain
zindagi ke narm kandhon par liye phirte hain hum
gham ka jo bar-e-giran inam le kar aae hain
waqt ke nadan parinde zoam-e-danai ke gird
KHub-surat KHwahishon ke dam le kar aae hain
ek manzar par nazar Thahre to Thahre kis tarah
hum mizaj-e-gardish-e-ayyam le kar aae hain
be-KHudi achchhi thi ab to aagahi ki shakl mein
gham hi gham na-waqif-e-anjam le kar aae hain
pattharon ke raste se apne shishe ke qadam
sai-e-la-hasil ka ek paigham le kar aae hain
be-amal logon se jab puchho to kahte hain ki 'shan'
hum azal se qismat-e-nakaam le kar aae hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.