jo teri shakl ko mahtab nahin kah sakte
jo tirī shakl ko mahtāb nahīñ kah sakte
vo mirī aañkh ko tālāb nahīñ kah sakte
sach meñ kamzor hai bīnā.ī hamārī lekin
ret ke zarre ko sīmāb nahīñ kah sakte
ham haiñ ausāf pe me.aar parakhne vaale
is liye kavve ko surḳhāb nahīñ kah sakte
kam se kam aap to rakh liije bharam yaarī kā
vo to dushman haiñ nā ādāb nahīñ kah sakte
tere va.adoñ kī zamānat nahīñ detā koī
thal ke sahrā ko to shādāb nahīñ kah sakte
gar tū momin hai to chehre pe kahīñ nuur bhī ho
ham kisī daaġh ko mehrāb nahīñ kah sakte
laakh mīThe hoñ tire shahr ke chashme lekin
ham tire shahr ko ḳhūshāb nahīñ kah sakte
jo teri shakl ko mahtab nahin kah sakte
wo meri aankh ko talab nahin kah sakte
sach mein kamzor hai binai hamari lekin
ret ke zarre ko simab nahin kah sakte
hum hain ausaf pe mear parakhne wale
is liye kawwe ko surKHab nahin kah sakte
kam se kam aap to rakh lije bharam yari ka
wo to dushman hain na aadab nahin kah sakte
tere wadon ki zamanat nahin deta koi
thal ke sahra ko to shadab nahin kah sakte
gar tu momin hai to chehre pe kahin nur bhi ho
hum kisi dagh ko mehrab nahin kah sakte
lakh miThe hon tere shahr ke chashme lekin
hum tere shahr ko KHushab nahin kah sakte
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.