jo tujhe aur mujhe ek kar saka nahin
jo tujhe aur mujhe ek kar sakā nahīñ
vo tirā ḳhudā nahīñ vo mirā ḳhudā nahīñ
zindagī milī kabhī to gila kareñge par
zindagī milī nahīñ to gila kiyā nahīñ
maiñ jo is dayār meñ ab talak nahīñ marā
kyā mirā koī aziiz ab yahāñ bachā nahīñ
jis ke ehtirām meñ sar kaTā diyā gayā
us ko to ḳhabar nahīñ us ko to patā nahīñ
ḳhud se duur ho ga.e chuur chuur ho ga.e
rassī jal ga.ī magar us kā bal gayā nahīñ
zaḳhm kī nazākatoñ ko nahīñ samajh sakā
tū 'vaqār'-ḳhān hai jaun-elia nahīñ
jo tujhe aur mujhe ek kar saka nahin
wo tera KHuda nahin wo mera KHuda nahin
zindagi mili kabhi to gila karenge par
zindagi mili nahin to gila kiya nahin
main jo is dayar mein ab talak nahin mara
kya mera koi aziz ab yahan bacha nahin
jis ke ehtiram mein sar kaTa diya gaya
us ko to KHabar nahin us ko to pata nahin
KHud se dur ho gae chur chur ho gae
rassi jal gai magar us ka bal gaya nahin
zaKHm ki nazakaton ko nahin samajh saka
tu 'waqar'-KHan hai jaun-elia nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.