jo tujhe dekh ke mabhut hua
jo tujhe dekh ke mab.hūt huā
ḳhūn-e-dil us ko sadā quut huā
jo muā dekh tire aariz kuuñ
shāḳh-e-gul kā use tābūt huā
jo uThā majlis-e-nāsotī meñ
mahram-e-ḳhalvat-e-lāhūt huā
nok-e-mizhgān-e-sanam haq meñ mire
tez juuñ neza-e-rajpūt huā
ashk-e-ḳhūnīñ shab-e-hijrāñ kā 'sirāj'
roġhan-e-sho.ala-e-yāqūt huā
jo tujhe dekh ke mabhut hua
KHun-e-dil us ko sada qut hua
jo mua dekh tere aariz kun
shaKH-e-gul ka use tabut hua
jo uTha majlis-e-nasoti mein
mahram-e-KHalwat-e-lahut hua
nok-e-mizhgan-e-sanam haq mein mere
tez jun neza-e-rajput hua
ashk-e-KHunin shab-e-hijran ka 'siraj'
roghan-e-shoala-e-yaqut hua
- Book : Kulliyat-e-Siraj (Pg. 329)
- Author : Siraj Aurangabadi
- Publication : Qaumi Council Baraye-Farogh Urdu (1982,1998)
- Edition : 1982,1998
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.