jo tumhaare lab-e-jaan-baKHsh ka shaida hoga
jo tumhāre lab-e-jāñ-baḳhsh kā shaidā hogā
uTh bhī jā.egā jahāñ se to masīhā hogā
vo to muusā huā jo tālib-e-dīdār huā
phir vo kyā hogā ki jis ne tumheñ dekhā hogā
qais kā zikr mire shān-e-junūñ ke aage
agle vaqtoñ kā koī bādiya-paimā hogā
aarzū hai mujhe ik shaḳhs se milne kī bahut
naam kyā luuñ koī allāh kā bandā hogā
lāl-e-lab kā tire bosa to maiñ letā huuñ magar
Dar ye hai ḳhūn-e-jigar baad meñ piinā hogā
jo tumhaare lab-e-jaan-baKHsh ka shaida hoga
uTh bhi jaega jahan se to masiha hoga
wo to musa hua jo talib-e-didar hua
phir wo kya hoga ki jis ne tumhein dekha hoga
qais ka zikr mere shan-e-junun ke aage
agle waqton ka koi baadiya-paima hoga
aarzu hai mujhe ek shaKHs se milne ki bahut
nam kya lun koi allah ka banda hoga
lal-e-lab ka tere bosa to main leta hun magar
Dar ye hai KHun-e-jigar baad mein pina hoga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.