jo tu gaya tha to tera KHayal rah jata
jo tū gayā thā to terā ḳhayāl rah jaatā
hamārā koī to pursān-e-hāl rah jaatā
burā thā yā vo bhalā lamha-e-mohabbat thā
vahīñ pe silsila-e-māh-o-sāl rah jaatā
bichhaḌte vaqt Dhalaktā na gar in āñkhoñ se
is ek ashk kā kyā kyā malāl rah jaatā
tamām ā.īna-ḳhāne kī laaj rah jaatī
koī bhī aks agar be-misāl rah jaatā
gar imtihān-e-junūñ meñ na karte qais kī naql
'jamāl' sab se zarūrī savāl rah jaatā
jo tu gaya tha to tera KHayal rah jata
hamara koi to pursan-e-haal rah jata
bura tha ya wo bhala lamha-e-mohabbat tha
wahin pe silsila-e-mah-o-sal rah jata
bichhaDte waqt Dhalakta na gar in aankhon se
is ek ashk ka kya kya malal rah jata
tamam aaina-KHane ki laj rah jati
koi bhi aks agar be-misal rah jata
gar imtihan-e-junun mein na karte qais ki naql
'jamal' sab se zaruri sawal rah jata
- Book : Akelepan Ki Intiha (Pg. 104)
- Author :Jamal Ehsani
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.