jo tu hi sanam humse be-zar hoga
jo tū hī sanam ham se be-zār hogā
to jiinā hameñ apnā dushvār hogā
ġham-e-hijr rakkhegā be-tāb dil ko
hameñ kuḌhte kuḌhte kuchh āzār hogā
jo ifrāt-e-ulfat hai aisā to āshiq
koī din meñ barsoñ kā bīmār hogā
uchaTtī mulāqāt kab tak rahegī
kabhū to tah-e-dil se bhī yaar hogā
tujhe dekh kar lag gayā dil na jaanā
ki us sañg-dil se hameñ pyaar hogā
lagā karne hijrān saḳhtī se saḳhtī
ḳhudā jaane kyā āḳhir-e-kār hogā
yahī hogā kyā hogā 'mīr' hī na hoñge
jo tū hogā be-yār ġham-ḳhvār hogā
jo tu hi sanam hum se be-zar hoga
to jina hamein apna dushwar hoga
gham-e-hijr rakkhega be-tab dil ko
hamein kuDhte kuDhte kuchh aazar hoga
jo ifraat-e-ulfat hai aisa to aashiq
koi din mein barson ka bimar hoga
uchaTti mulaqat kab tak rahegi
kabhu to tah-e-dil se bhi yar hoga
tujhe dekh kar lag gaya dil na jaana
ki us sang-dil se hamein pyar hoga
laga karne hijran saKHti se saKHti
KHuda jaane kya aaKHir-e-kar hoga
yahi hoga kya hoga 'mir' hi na honge
jo tu hoga be-yar gham-KHwar hoga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.