jo umr teri talab mein ganwae jate hain
jo umr terī talab meñ gañvā.e jaate haiñ
kuchh aise log bhī duniyā meñ paa.e jaate haiñ
lagāv hai mirī tanhā.iyoñ se fitrat ko
tamām raat sitāre lagā.e jaate haiñ
samā.ī jaatī haiñ dil meñ vo kufr-bār āñkheñ
ye but-kade mire ka.abe pe chhā.e jaate haiñ
samajh haqīr na in zindagī ke lamhoñ ko
are inhīñ se zamāne banā.e jaate haiñ
haiñ dil ke daaġh bhī kyā dil ke daaġh ai 'sīmāb'
Tapak rahe haiñ magar muskurā.e jaate haiñ
jo umr teri talab mein ganwae jate hain
kuchh aise log bhi duniya mein pae jate hain
lagaw hai meri tanhaiyon se fitrat ko
tamam raat sitare lagae jate hain
samai jati hain dil mein wo kufr-bar aankhen
ye but-kade mere kabe pe chhae jate hain
samajh haqir na in zindagi ke lamhon ko
are inhin se zamane banae jate hain
hain dil ke dagh bhi kya dil ke dagh ai 'simab'
Tapak rahe hain magar muskurae jate hain
- Book : Intekhab-e-Sukhan(Jild-2) (Pg. 247)
- Author : Hasrat Mohani
- Publication : uttar pradesh urdu academy (1983)
- Edition : 1983
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.