jo un mein ho raha hai wo tamasha bhi nahin dikhta
jo un meñ ho rahā hai vo tamāshā bhī nahīñ dikhtā
huā kyā hai un āñkhoñ ko jo itnā bhī nahīñ dikhtā
tire parda-nashīñ hone meñ to hairat hī kyā lekin
tū jis parde meñ pinhāñ hai vo parda bhī nahīñ dikhtā
ye kaise ālam-e-tīra-shabī meñ aa gayā huuñ maiñ
yahāñ to koī jugnū se shanāsā bhī nahīñ dikhtā
ḳhudā ko dekh kar mānūñ ye zid bhī ḳhuub hai lekin
in āñkhoñ ko zarūrat se ziyāda bhī nahīñ dikhtā
jo un mein ho raha hai wo tamasha bhi nahin dikhta
hua kya hai un aankhon ko jo itna bhi nahin dikhta
tere parda-nashin hone mein to hairat hi kya lekin
tu jis parde mein pinhan hai wo parda bhi nahin dikhta
ye kaise aalam-e-tira-shabi mein aa gaya hun main
yahan to koi jugnu se shanasa bhi nahin dikhta
KHuda ko dekh kar manun ye zid bhi KHub hai lekin
in aankhon ko zarurat se ziyaada bhi nahin dikhta
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.