jo uske samne mera ye haal aa jae
jo us ke sāmne merā ye haal aa jaa.e
to dukh se aur bhī us par jamāl aa jaa.e
mirā ḳhayāl bhī ghuñgrū pahan ke nāchegā
agar ḳhayāl ko terā ḳhayāl aa jaa.e
har ek shaam na.e ḳhvāb us pe kāḌeñge
hamāre haath agar terī shaal aa jaa.e
inhī dinoñ vo mire saath chaa.e piitā thā
kahīñ se kaash mirā pichhlā saal aa jaa.e
maiñ apne ġham ke ḳhazāne kahāñ chhupā.ūñgā
agar kahīñ se koī indimāl aa jaa.e
har ek baar na.e Dhañg se sajā.eñ tujhe
hamāre haath jo phūloñ kī Daal aa jaa.e
ye Dūbtā huā sūraj Thahar na jaa.e 'vasī'
agar vo sāmne vaqt-e-zavāl aa jaa.e
jo us ke samne mera ye haal aa jae
to dukh se aur bhi us par jamal aa jae
mera KHayal bhi ghungru pahan ke nachega
agar KHayal ko tera KHayal aa jae
har ek sham nae KHwab us pe kaDenge
hamare hath agar teri shaal aa jae
inhi dinon wo mere sath chae pita tha
kahin se kash mera pichhla sal aa jae
main apne gham ke KHazane kahan chhupaunga
agar kahin se koi indimal aa jae
har ek bar nae Dhang se sajaen tujhe
hamare hath jo phulon ki Dal aa jae
ye Dubta hua suraj Thahar na jae 'wasi'
agar wo samne waqt-e-zawal aa jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.