jo uThi thi meri taraf kabhi dil-e-motabar ki talash mein
jo uThi thi meri taraf kabhi dil-e-motabar ki talash mein
Kaif Moradaabadi
MORE BYKaif Moradaabadi
jo uThī thī merī taraf kabhī dil-e-mo'tabar kī talāsh meñ
merī saarī umr guzar ga.ī usī ik nazar kī talāsh meñ
ġham-e-ishq hī ko maiñ kyā kahūñ tire husn ko bhī nahīñ sukūñ
kabhī is nazar kī talāsh meñ kabhī us nazar kī talāsh meñ
jo yahī junūñ hai to mil chukī hameñ manzil-e-ġham-e-āshiqī
usī rahguzar se guzar ga.e usī rahguzar kī talāsh meñ
sar-e-manzil aa ke patā chalā ki qadam qadam pe fareb thā
kahīñ ham-safar kī umiid meñ kahīñ ham-safar kī talāsh meñ
use vasl kaisā haqīqatan ġham-e-hijr kā bhī to haq nahīñ
jo tamām raat guzār de magar ik sahar kī talāsh meñ
hai ajiib qismat-e-'kaif' bhī ye milā hai hāsil-e-bandagī
ki mazāq-e-sajda bhī kho diyā kisī sañg-e-dar kī talāsh meñ
jo uThi thi meri taraf kabhi dil-e-mo'tabar ki talash mein
meri sari umr guzar gai usi ek nazar ki talash mein
gham-e-ishq hi ko main kya kahun tere husn ko bhi nahin sukun
kabhi is nazar ki talash mein kabhi us nazar ki talash mein
jo yahi junun hai to mil chuki hamein manzil-e-gham-e-ashiqi
usi rahguzar se guzar gae usi rahguzar ki talash mein
sar-e-manzil aa ke pata chala ki qadam qadam pe fareb tha
kahin ham-safar ki umid mein kahin ham-safar ki talash mein
use wasl kaisa haqiqatan gham-e-hijr ka bhi to haq nahin
jo tamam raat guzar de magar ek sahar ki talash mein
hai ajib qismat-e-'kaif' bhi ye mila hai hasil-e-bandagi
ki mazaq-e-sajda bhi kho diya kisi sang-e-dar ki talash mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.