jo uzw-e-baatin KHuda banata to hum dil-e-be-qarar hote
jo uzv-e-bātin ḳhudā banātā to ham dil-e-be-qarār hote
jo uzv-e-zāhir ḳhudā banātā to dīda-e-ashk-bār hote
jo gard kar ke ḳhudā uḌātā to uḌte gard-e-malāl ho kar
jo sañg kar ke ḳhudā jamātā to jam ke lauh-e-mazār hote
ḳhudā jo shāna hameñ banātā to ham ḳhalish hote apne dil kī
ḳhudā jo ā.īna ham ko kartā to apne hairān-kār hote
jo roz ham ko ḳhudā banātā to bante roz-e-firāq-e-jānāñ
jo raat ham ko ḳhudā banātā to ham shab-e-intizār hote
ġharaz ki aisā musībatoñ kā hamāre dil ko mazā paḌā hai
ki 'qadr' ham ko ḳhudā banātā to ho ke be-qadr ḳhvār hote
jo uzw-e-baatin KHuda banata to hum dil-e-be-qarar hote
jo uzw-e-zahir KHuda banata to dida-e-ashk-bar hote
jo gard kar ke KHuda uData to uDte gard-e-malal ho kar
jo sang kar ke KHuda jamata to jam ke lauh-e-mazar hote
KHuda jo shana hamein banata to hum KHalish hote apne dil ki
KHuda jo aaina hum ko karta to apne hairan-kar hote
jo roz hum ko KHuda banata to bante roz-e-firaq-e-jaanan
jo raat hum ko KHuda banata to hum shab-e-intizar hote
gharaz ki aisa musibaton ka hamare dil ko maza paDa hai
ki 'qadr' hum ko KHuda banata to ho ke be-qadr KHwar hote
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.