jo vo bazm meñ be-naqāb aa gayā
har ik chiiz par ik shabāb aa gayā
jabhī merī bechainiyāñ baḌh ga.iiñ
ki vo vaj.h-e-sad-iztirāb aa gayā
sitam bhī kiye us ne be-intihā
mujhe lutf bhī be-hisāb aa gayā
ga.ī kyā ḳhizāñ kyā ye aa.ī bahār
mirī jaan par ik 'azāb aa gayā
abhī karne paayā na thā maiñ savāl
ki un ke laboñ par javāb aa gayā
na vo sun sake aur na maiñ kah sakā
nazar ko nazar se hijāb aa gayā
idhar us ne Daalī nazar meñ nazar
udhar ham ko lutf-e-sharāb aa gayā
samajh meñ na aayā ye andāz-e-nau
mujhe dekh kar kyoñ hijāb aa gayā
mujhe dekhte hī vo farmā uThe
vo 'bahzād'-e-ḳhāna-ḳharāb aa gayā
jo wo bazm mein be-naqab aa gaya
har ek chiz par ek shabab aa gaya
jabhi meri bechainiyan baDh gain
ki wo wajh-e-sad-iztirab aa gaya
sitam bhi kiye us ne be-intiha
mujhe lutf bhi be-hisab aa gaya
gai kya KHizan kya ye aai bahaar
meri jaan par ek 'azab aa gaya
abhi karne paya na tha main sawal
ki un ke labon par jawab aa gaya
na wo sun sake aur na main kah saka
nazar ko nazar se hijab aa gaya
idhar us ne Dali nazar mein nazar
udhar hum ko lutf-e-sharab aa gaya
samajh mein na aaya ye andaz-e-nau
mujhe dekh kar kyon hijab aa gaya
mujhe dekhte hi wo farma uThe
wo 'bahzad'-e-KHana-KHarab aa gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.