jo wo mere na rahe main bhi kab kisi ka raha
jo vo mire na rahe maiñ bhī kab kisī kā rahā
bichhaḌ ke un se salīqa na zindagī kā rahā
laboñ se uḌ gayā jugnū kī tarah naam us kā
sahārā ab mire ghar meñ na raushnī kā rahā
guzarne ko to hazāroñ hī qāfile guzre
zamīñ pe naqsh-e-qadam bas kisī kisī kā rahā
jo wo mere na rahe main bhi kab kisi ka raha
bichhaD ke un se saliqa na zindagi ka raha
labon se uD gaya jugnu ki tarah nam us ka
sahaara ab mere ghar mein na raushni ka raha
guzarne ko to hazaron hi qafile guzre
zamin pe naqsh-e-qadam bas kisi kisi ka raha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.