jo ye har-su falak manzar khaDe hain
jo ye har-sū falak manzar khaḌe haiñ
na jaane kis ke pairoñ par khaḌe haiñ
tulā hai dhuup barsāne pe sūraj
shajar bhī chhatriyāñ le kar khaḌe haiñ
unheñ nāmoñ se maiñ pahchāntā huuñ
mire dushman mire andar khaḌe haiñ
kisī din chāñd niklā thā yahāñ se
ujāle aaj tak chhat par khaḌe haiñ
ujālā sā hai kuchh kamre ke andar
zamīn-o-āsmāñ bāhar khaḌe haiñ
jo ye har-su falak manzar khaDe hain
na jaane kis ke pairon par khaDe hain
tula hai dhup barsane pe suraj
shajar bhi chhatriyan le kar khaDe hain
unhen namon se main pahchanta hun
mere dushman mere andar khaDe hain
kisi din chand nikla tha yahan se
ujale aaj tak chhat par khaDe hain
ujala sa hai kuchh kamre ke andar
zamin-o-asman bahar khaDe hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.