Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jo ye kahte the ki mar jaana hai

Navneet Sharma

jo ye kahte the ki mar jaana hai

Navneet Sharma

MORE BYNavneet Sharma

    jo ye kahte the ki mar jaanā hai

    un se jiine hunar jaanā hai

    kis ne sochā thā ki ḳhud se mil kar

    apnī āvāz se Dar jaanā hai

    hadisā maut nahīñ insāñ

    hādisa ḳhvāb mar jaanā hai

    hazrat-e-dil ko manānā hogā

    aaj phir us Dagar jaanā hai

    kuchh havā, aag, zamīñ, aab, falak

    phir mujhe lauT ke ghar jaanā hai

    ek bālisht nahīñ jis chhāñv

    tum ne us ko bhī shajar jaanā hai

    saath rakh mujh ko baḌhā le qīmat

    go mujhe ne sifar jaanā hai

    aaj phir tum ko nahīñ DhūñDh sakā

    dil ko sahrā meñ pasar jaanā hai

    aap bhī suniye kahā hai dil ne

    ''aaj har had se guzar jaanā hai''

    silsila toḌ rahe ho kyūñkar

    silsila ḳhud bikhar jaanā hai

    yaad ghaas to giilī hai bahut

    ab dhuāñ dil pe pasar jaanā hai

    dil ko sairāb kiyā ashkoñ se

    ham ne rone hunar jaanā hai

    apnā jo bhī thā vo sab chhūT gayā

    ye magar vaqt-e-safar jaanā hai

    jo ye kahte the ki mar jaana hai

    un se jine ka hunar jaana hai

    kis ne socha tha ki KHud se mil kar

    apni aawaz se Dar jaana hai

    hadisa maut nahin insan ki

    hadisa KHwab ka mar jaana hai

    hazrat-e-dil ko manana hoga

    aaj phir us ki Dagar jaana hai

    kuchh hawa, aag, zamin, aab, falak

    phir mujhe lauT ke ghar jaana hai

    ek baalisht nahin jis ki chhanw

    tum ne us ko bhi shajar jaana hai

    sath rakh mujh ko baDha le qimat

    go mujhe tu ne sifar jaana hai

    aaj phir tum ko nahin DhunDh saka

    dil ko sahra mein pasar jaana hai

    aap bhi suniye kaha hai dil ne

    aaj har had se guzar jaana hai

    silsila toD rahe ho kyunkar

    silsila KHud hi bikhar jaana hai

    yaad ki ghas to gili hai bahut

    ab dhuan dil pe pasar jaana hai

    dil ko sairab kiya ashkon se

    hum ne rone ka hunar jaana hai

    apna jo bhi tha wo sab chhuT gaya

    ye magar waqt-e-safar jaana hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now