jo yun aap bairun-e-dar jaenge
jo yun aap bairun-e-dar jaenge
Gulam Yahya Huzur Azimabadi
MORE BYGulam Yahya Huzur Azimabadi
jo yuuñ aap bairūn-e-dar jā.eñge
ḳhudā jaane kis kis ke ghar jā.eñge
shab-e-hijr meñ ek din dekhnā
agar zindagī hai to mar jā.eñge
abas ghar se apne nikāle hai tū
bhalā ham tujhe chhoḌ kar jā.eñge
musāfir haiñ lekin nahīñ jānte
kahāñ se ham aa.e kidhar jā.eñge
tamannā meñ bose kī kahtā hai jī
badan se nikal bhī agar jā.eñge
tū hai ek-dam aur hazāroñ umiid
laboñ pe koī dam Thahar jā.eñge
ba-hurmat nibhī ab talak jis tarah
huzūr itne din bhī guzar jā.eñge
jo yun aap bairun-e-dar jaenge
KHuda jaane kis kis ke ghar jaenge
shab-e-hijr mein ek din dekhna
agar zindagi hai to mar jaenge
abas ghar se apne nikale hai tu
bhala hum tujhe chhoD kar jaenge
musafir hain lekin nahin jaante
kahan se hum aae kidhar jaenge
tamanna mein bose ki kahta hai ji
badan se nikal bhi agar jaenge
tu hai ek-dam aur hazaron umid
labon pe koi dam Thahar jaenge
ba-hurmat nibhi ab talak jis tarah
huzur itne din bhi guzar jaenge
- Dewan-e-Huzoor (E-Book)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.