jo zaKHmon se apne bahalte rahenge
jo zaḳhmoñ se apne bahalte raheñge
vahī phuul haiñ shahd ugalte raheñge
ghaTā.eñ uThīñ saañp vīrāniyoñ ke
inhī āstīnoñ meñ palte raheñge
sharī.at ḳhas-o-ḳhār hī kī chalegī
alam rañg-o-bū ke nikalte raheñge
na.ī bastiyāñ roz bastī raheñgī
jinheñ mere sahrā nigalte raheñge
machalte raheñ raushnī ke patañge
diye mere kājal ugalte raheñge
ravāñ har taraf zauq-e-pastī rahegā
bulandī ke chashme ubalte raheñge
jise saañs lenā ho ḳhud aaḌ kar le
ye jhoñke huā ke to chalte raheñge
ye patte to ab phuul kyā ho sakeñge
magar umr bhar haath malte raheñge
'muhib' rāstī hai ibārat kajī se
mire bal kahāñ tak nikalte raheñge
jo zaKHmon se apne bahalte rahenge
wahi phul hain shahd ugalte rahenge
ghaTaen uThin sanp viraniyon ke
inhi aastinon mein palte rahenge
shariat KHas-o-KHar hi ki chalegi
alam rang-o-bu ke nikalte rahenge
nai bastiyan roz basti rahengi
jinhen mere sahra nigalte rahenge
machalte rahen raushni ke patange
diye mere kajal ugalte rahenge
rawan har taraf zauq-e-pasti rahega
bulandi ke chashme ubalte rahenge
jise sans lena ho KHud aaD kar le
ye jhonke hua ke to chalte rahenge
ye patte to ab phul kya ho sakenge
magar umr bhar hath malte rahenge
'muhib' rasti hai ibarat kaji se
mere bal kahan tak nikalte rahenge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.